Aaj hum batane vale hai Twitter kya hai aur twitter par account kaise banaye . Jyadatar Internet users Facebook , whatsapp aur Instagram jaisi Social Sites me to kafi active rahte hai par Vo Kai Famous Social networking sites jaise Twitter , LinkedIn , hike etc . ke bare me jyada kuch nahi jante . Isiliye aaj humaat karenge inhi me se ek Social networking site twitter ki aur Janege twitter ke bare me.
![]() |
Twitter kya hai aur Twitter par account kaise banaye ? |
Hello dosto mera naam hai nirmal aur aaj hum baat karenge twitter ki . Aur janege eske kuch Interesting Fact . To let’s begin
Read also ―:
1.Instagram kya hai aur Instagram par account kaise banye.
2. PayPal kya hai aur PayPal par account kaise banaye
3.Irctc kya hai aur irctc new account kaise banate hai.
Twitter Kya hai ?
Yh to hum sabhi jante hai ki Twitter bhi FB , Instagram aur Whatsapp ki tarah hi ek Social networking Site hai . Jo hame apne friends , relative aur celebrity se jode rakhti hai . Twitter ki starting 2006 me Jack Dorsey, Noah Glass, Evan Williams aur Biz Stone ne San Francisco, California, United states se ki thi . Twitter Ko banane ke piche sidha makshad Eske users ke bich bina kisi rukawat ke information share karna tha . Apni esi khubi ke dum par Twitter aaj almost 320 million users ka group hai . To chaliye ab aapko btate hai ki Twitter kyu alag hai dusri Social networking sites se .Twitter ki history janne ke liye yha click kare ― Twitter ki History hindi main
Twitter ki Kuch visheshtayen .
1. Fb , Whatsapp and others Social sites par aap kitne bhi word ka post share kar sakte hai vahi Twitter par Aap sirf 140 words ka post hi share kar sakte hai .
2. Twitter par hashtag (#tag) ek Sabse popular feature hai. Eska upyog twitter par kisi bhi Users ya tweet ko search karne ke liye Kiya jata hai . For example agar aap hame Twitter par follow karna chahte hai to aapko twitter ke search bar par #nirmalkholiya search karna hoga .
3. Fb par jab tak koyi aapki request accept na kare tab tak aap uske friend nahi ban sakte hai . Vahi Twitter par kisi Ko bhi bas Follow karne se hi vh aapke following list par add ho jata hai .
4. Twitter par aap Desh aur duniya ki famous celebrity’s , politicians , Sports player etc . Ko follow karke unki sari tweets aur daily life ki information le sakte hai .
5. Twitter par agar kisi Celebrity ke I’d name ke aage green colour ka right tick laga hai to eska matlab hai ki vh us Celebrity ki real I’d hai .
6. Agar aapko koi bhi tweet pasand aata hai to aap use Retweet kar aage send kar sakte hai .
To yh thi Twitter ki kuch visheshtayen ab hum janege ki Twitter par account kaise banate hai .
Twitter par account kaise banate hai ?
”Twitter par account banane” ke liye aap eski website ya Twitter Android app ki help le sakte hai . Hum aapko twitter Android app ki madad se Twitter par account banane sikhayenge . To chaliye Step by Step Twitter par new account banane sikhte hai .
Step1. Play store se Twitter app Ko install karke Apne phone par open kare aur Get Started par click kar de .
![]() |
Twitter kya hai aur Twitter par account kaise banaye ? |
Step2. Ab apna Full name Enter Kare aur Next par click kar de.
Step3. Phone number enter kare aur next par click kar de.
![]() |
Twitter kya hai aur Twitter par account kaise banaye ? |
Ab Twitter aapke phone par ek verification code bejhega uske liye Ok par click kare .
Step5. Ab Kam se kam 6 Character ka password enter kare aur next par click kar de .
![]() |
Twitter kya hai aur Twitter par account kaise banaye ? |
Step7. Ab apna username Select kare aur next par click kar de .
![]() |
Twitter kya hai aur Twitter par account kaise banaye ? |
Ummeed hai dosto aapko hamara Twitter par yh Post Twitter kya hai aur Twitter par account kaise banaye? pasand aaya hoga . Agar ha toh comment kar hame bataye aur es post Ko other social networking sites par share karna bilkul na bhule . Thanks
Jay Hind / Jay Bharat
Hello Sir,
kya ham Twitter par kisi ko Direct Message bhej sakte hai?
bhai ap ne bahut acha btaya ap ne twitter account ke bare mai